Sunday, December 5, 2010

Grahan ka intezaar

Yeh kaisa prem tumhara

ki din badalte mukh chupaati ho

kya yug se bhiti hai bhara

ya mere teevr prakashit prem se darti ho

ya hai khel, tumharey ghanishth pranay se sara?


kal jab kshitij se jhaanka

to neend mein khoobsurat

pari si thi tum

in chand palon ka avirodh

kya yahi hai bhaag hamara?


main idhar to tum udhar

jidhar amavas, woh poornima kidhar

isliye grahan ka roj mujhe hai intezaar

jab kshanbhar hi sahi, aahosh mein mere sama jaati ho nidar


kal phir amavas hua to kya

Mujhe to bas hai, us grahan ka intezaar

(c) Dec 3 2010